Ham Ki Thahre Ajnabii

SHARE

Ham ki thahre ajnabi
Ham ki thahre ajnabii itnii mulaqaaton ke baad
Phir banenge aashnaa kitnii mudaaraaton ke baad
Kab nazar men aayegi be-daagh sabze kii bahaar
Khuun ke dhabbe dhulenge kitnii barsaaton ke baad
The bohat be-dard lamhe khatm-e-dard-e-ishq ke
Thiin bohat be-meher subahen meherbaan raaton ke baad
Dil to chaaha par shikast-e-dil ne mohlat hii na dii
Kuchh gile shikwe bhii kar lete munaajaaton ke baad
Unse jo kahne gaye the faiz, jaan sadqe kiye
Ankahii hii rah gayii voh baat, sab baatoon ke baad
Translation
Aashnaa = acquainted, friendl

This is a great dard shayari 2 lines. If you like haseen lamhe shayari then you will love this. Many people like it for ishq shayari allama iqbal. Share it to spread the love.

SHARE