Pani aankh mein bhar karPani aankh mein bhar kar laya ja sakta haiAb bhi jalta shehar bachaya ja sakta haiEk mohabbat aur woh bhi nakam mohabbatLekin iss se kaam chalaya ja sakta haiDil par paani peene aati hain umeedeinIss chashme mein zeher milaya ja sakta haiMujh gumnaam se puchte hain farhaad-o-majnoonIshq mein kitna naam kamaya ja sakta haiYeh mehtab yeh raat kee peshani ka ghavAisa zakham to dil par khaya ja sakta haiPhata purana khwaab hai mera phir bhi tabishIss mein apna aap chupaya ja sakta hai