Kab Uska Visaal:

SHARE

Kab uska visaal
Kab uska visaal chahiye tha
Bas ek khayaal chahiye tha
Kab dil ko jawaab se gharaz thi
Honthon ko sawaal chahiye tha
Shauq yeh nafas tha aur wafaa ko
Paas-e-mah-o-saal chahiye tha
Ek chehra-e-sadaa tha jo hum ko
Be-misl-o-misaal chahiye tha
Ek karb mein zaat-o-zindagii hain
Mumkin ko mahaal chahiye tha

SHARE