Hum Se Pucho Ki Ghazal Kya Hai Ghazal Ka Fan KyaHum se pucho ki ghazal kya hai ghazal ka fan kyaChand lafzon mein koi aag chuppa di jaye
Kab Uska Visaal:Kab uska visaalKab uska visaal chahiye thaBas ek khayaal chahiye thaKab dil ko jawaab se gharaz thiHonthon ko sawaal chahiye thaShauq yeh nafas tha aur wafaa koPaas-e-mah-o-saal chahiye thaEk chehra-e-sadaa tha jo hum koBe-misl-o-misaal chahiye thaEk karb mein zaat-o-zindagii hainMumkin ko mahaal chahiye tha
Badla Lena Meri Fitrat:Badla lena meri fitratMain lamhon ko waqt ki pukaar deta hoonIsi lagan mein kayi shaamein guzaar deta hoonMain yunhi har ek se be-rabt nahi miltaHar ek shakhs ko us ka mayyaar deta hoonMain gham ki kashti ko dubona nahi chaahtaBojh barrh jaye to kuch utaar deta hoonKhushiyan koi maangey to muft deta hoonGham maangey koi to udhaar deta hoonBadla lena meri fitrat mein nahi 'saaqi'Khizaan ke badley bahaar deta hoon
Aadmi Aadmi Se:Aadmi aadmi seAadmi aadmi se milta haiDil magar kam kisi se milta haiRooh ko bhi maza mohabbat kaDil ki hum-saegi se milta haiAaj kya baat hai ki phulon kaBhool jata hun main sitam uskeHosh jab be-khudi se milta haiKarobar-e-jahan sanwarte hainMil ke bhi jo kabhi nahi miltaRang teri hansi se milta haiTeri khush-qamati se milta haiToot kar dil usi se milta haiSilsila fitna-e-qayamat kaWoh kuchh is sadgi se milta hai
Pani Aankh Mein Bhar Kar:Pani aankh mein bhar karPani aankh mein bhar kar laya ja sakta haiAb bhi jalta shehar bachaya ja sakta haiEk mohabbat aur woh bhi nakam mohabbatLekin iss se kaam chalaya ja sakta haiDil par paani peene aati hain umeedeinIss chashme mein zeher milaya ja sakta haiMujh gumnaam se puchte hain farhaad-o-majnoonIshq mein kitna naam kamaya ja sakta haiYeh mehtab yeh raat kee peshani ka ghavAisa zakham to dil par khaya ja sakta haiPhata purana khwaab hai mera phir bhi tabishIss mein apna aap chupaya ja sakta hai
Main To Jhonka Hun:Main to jhonka hunMain to jhonka hun hawa ka uda le jaungaJaagti rehna tujhe tujhse chura le jaungaHo ke kadmon pe nicchawar phool ne but se kahaKhak mein mil ke bhi mein khushboo bacha le jaungaKaun si shay mujhko pahunchayegi tere shehar takYeh pata to tab chalega jab pata le jaungaKoshishein mujhko mitaane ki bhale ho kamyaabMit-te mit-te bhi main mitne ka maza le jaungaShoharatein jinki wajah se dost dushman ho gayeSab yeh reh jaayengi main saath kya le jaunga