Jahan Weeraana Hai

SHARE

Jahan weeraana ha
Jahan weeraana hai pahle kabhi aabad yaan ghar the
Shaghaal ab hai jahan baste, kabhi bashar yaan the
Jahan chatial hai maidan aur sarasar ek khaaristan
Kabhi yaan qasar-o-oaiwan the, chaman the aur shajar yaan the
Jahan phirte bagoole hain, unraate khak sahra mein
Kabhi urti thi daulat, raqas karte seembar yaan the
Jahan hain sang reze, the yahaan yaaqut ke taude
Jahan kankar pare hain ab, kabhi rulte gohar yaan the
Jahan sunsaan ab jungle hai aur hai sher-e-khamoshan
Kabhi kya kya the hangaame yahan, aur shor-o-shar yaan the
Jahan ab khak par hain naqash-e-paae-aahu-e-sahra
Kabhi mahw-e-tamasha deeda-e-ahl-enazar yaan the
Zafar ahwaal aalam ka kabhi kuchh hai, kabhi kuchh hai
Ke kya kya rang ab hain aur kya kya peshtar yaan the
Translation
Shaghaal = jackals, prowl and roa
Bashar = huma
Sher-e-khamoshan = desolate grav
Naqash-e-paae-aahu-e-sahra = pug prints of the desert dee
Mahw-e-tamasha deeda-e-ahl-enazar = wise, discerning fol

This is a great mera jahan shayari. If you like mukammal jahan shayari then you will love this. Many people like it for noor jahan shayari. Share it to spread the love.

SHARE