Barish Hui to Phoolon Ke Tan Chaak Ho Gaye

SHARE

Barish hui to phoolon ke tan chaak ho gaye
Mausam ke haath bheeg ke saffak ho gaye
Baadal ko kya khabar hai ki barish kee chaah mein
Kaise buland-o-baala shajar khaak ho gaye
Jugnu ko din ke waqt parakhne kee zidd karein
Bachhe hamare ahad ke chalaak ho gaye
Lehra rahi hai barf kee chaadar hata ke ghaas
Suraj kee sheh pe tinke bhi bebaak ho gaye
Basti mein jitne aab-gazida the sab ke sab
Dariya ke rukh badalte hi tairaak ho gaye
Suraj dimag log bhi ablaagh-e-fikar mein
Zulf-e-shab-e-firaaq ke pechaak ho gaye
Jab bhi gharib-e-shehar se kuch guftguu hui
Lahje hawa-e-shaam ke namnaak ho gaye

This is a great barish shayari 2 line. If you like phoolon par shayari then you will love this. Many people like it for bhul gaye shayari images. Share it to spread the love.

SHARE