Barish Hui to Phoolon Ke Tan Chaak Ho GayeBarish hui to phoolon ke tan chaak ho gayeMausam ke haath bheeg ke saffak ho gayeBaadal ko kya khabar hai ki barish kee chaah meinKaise buland-o-baala shajar khaak ho gayeJugnu ko din ke waqt parakhne kee zidd kareinBachhe hamare ahad ke chalaak ho gayeLehra rahi hai barf kee chaadar hata ke ghaasSuraj kee sheh pe tinke bhi bebaak ho gayeBasti mein jitne aab-gazida the sab ke sabDariya ke rukh badalte hi tairaak ho gayeSuraj dimag log bhi ablaagh-e-fikar meinZulf-e-shab-e-firaaq ke pechaak ho gayeJab bhi gharib-e-shehar se kuch guftguu huiLahje hawa-e-shaam ke namnaak ho gaye
Uski Yaadon Kee Barish Jab Bhi Barasti Hai Mujh ParUski yaadon kee barish jab bhi barasti hai mujh parMain bheegta to jarur hun lekin palkon kee had tak
Kya Rog De Gayi Hai Yeh Naye Mausam Ki BarishKya rog de gayi hai yeh naye mausam ki barishMujhe yaad aa rahe hain mujhe bhool jane wale
Barish Hui To Phulon Ke Tan Chaak Ho GayeBarish hui to phulon ke tan chaak ho gayeMausam ke haath bheeg ke saffak ho gayeBadal ko kya khabar hai ki barish kee chaah meinKaise buland-o-baala shajar khaak ho gaye
Kya Rog De Gayi Hai Yeh Naye Mausam Ki BarishKya rog de gayi hai yeh naye mausam ki barishMujhe yaad aa rahe hain mujhe bhool jane waley
Pyaar Koi Barish Nahi Jo Barse Aur Tham JaayePyaar koi barish nahi jo barse aur tham jaayePyaar suraj bhi nahi jo chamke aur doob jaayePyaar to naam hai saans ka jo chale toh zindagiAur agar ruke toh maut ban jaaye