Barish Hui to Phoolon Ke Tan Chaak Ho GayeBarish hui to phoolon ke tan chaak ho gayeMausam ke haath bheeg ke saffak ho gayeBaadal ko kya khabar hai ki barish kee chaah meinKaise buland-o-baala shajar khaak ho gayeJugnu ko din ke waqt parakhne kee zidd kareinBachhe hamare ahad ke chalaak ho gayeLehra rahi hai barf kee chaadar hata ke ghaasSuraj kee sheh pe tinke bhi bebaak ho gayeBasti mein jitne aab-gazida the sab ke sabDariya ke rukh badalte hi tairaak ho gayeSuraj dimag log bhi ablaagh-e-fikar meinZulf-e-shab-e-firaaq ke pechaak ho gayeJab bhi gharib-e-shehar se kuch guftguu huiLahje hawa-e-shaam ke namnaak ho gaye
Baat Phoolon Ki Suna Karte TheBaat phoolon ki suna karte theHum kabhi sher kaha karte theMashalein lekar tumhare gham keeHum andheron mein chala karte theAb kahan aisi tabiyat waleChot kha kar jo jiya karte theTark-e-ehsas-e-mohabbat mushkilHaan magar ahl-e-wafa karte theBikhri bikhri hui zulfon waleKaafile rok liya karte theAaj gulshan mein shagufe "saghar"Shikwa ai baad-e-sabaa karte the
Koi Shayar Koi Faqir Ban JayeKoi shayar koi faqir ban jayeApko jo dikhe khud tasveer ban jayeNa phoolon ki jarurat na kaliyo kiAap jaha pair rakh do wahi kashmeer ban jaye
Phoolon Ka Bikharna To Muqaddar Hi Tha LekinPhoolon ka bikharna to muqaddar hi tha lekinKuch is mein hawaon kee siyasat bhi bahut thi
Saarey Maahol Mein Khusboo Hai Teri Yaadon KiSaarey maahol mein khusboo hai teri yaadon kiHum ne gham-khaney ko bhi phoolon sey saja rakha hai
Kaha Ye Kisne Kee Phoolon Se Dil Lagau MainKaha ye kisne kee phoolon se dil lagau mainAgar tera khayal na sochu to mar jaun mainMaang na mujhse tu hisaab meri mohabbat kaAa jaau imtehaan par to hadd se guzar jaun main