Band Aankh Se Sapne

SHARE

Band aankh se sapne
Band aankh se sapne bunte bunte umar guzar gayi apni
Tootey dil ke raizey chunte chunte umar guzar gayi apni
Woh hum se bichar kar kaise jeeta hoga
Bass yehi sochte sochte umar guzar gayi apni
Us ki talaash mein nikle, apna pata bhool gaye
Phir khud ko khojte khojte umar guzar gayi apni
Shamaa ban to gaye roshni ki khatir
Magar phir jalte jalte umar guzar gayi apni
Uss ne manaa ki deewaar torr kar pukaara to sahi
Lekin rukte rukte umar guzar gayi apni
Ab yeh zindagi ussi ki amaanat hai waqas
Jiss ki raah takte takte umar guzar gayi apni

This is a great adhure sapne shayari. If you like aankh aansu shayari then you will love this. Many people like it for band aankhon shayari. Share it to spread the love.

SHARE