Ik Sehmi Sehmi SiIk sehmi sehmi sIk sehmi sehmi si aahat hai, ik mehka mehka saya haiEhsaas ki is tanhai mein yeh raat gyi kon aya haiAye shaam alam kuch tu hi bata, yeh dhang tujhe kyon bhaya haiWoh meri khoj mein nikla tha aur tujh ko dhoond ke aya haiMain phool samajh ke chun loon ga is bheege se angaaron koAnkhon ki ibaadat ka main ne bss ek yahi phal paya haiKuch roz se barpa chaar taraf hain shadi-o-gham ke hangameySunte hain chaman ko maali ne phoolon ka kafan pehnaya hai
Aaj Zara FursatAaj zara fursaAaj zara fursat paayi thi aaj use phir yaad kiyaBand gali ke aakhiri ghar ko khol ke phir aabad kiyaKhol ke khidkii chand hansa phir chand ne dono hathon seRang udaye phool khilaye chidiyon ko aazad kiyaBade bade gham khade hue the raasta roke raahon meinChoti choti khushiyon se hi hum ne dil ko shaad kiyaBaat bahut mamuli si thi uljh gayi takraron meinEk zara si zidd ne aakhir dono ko barbaad kiyaDanaon ki baat na maani kaam aayi nadaani hiSuna hawa ko padha nadi ko mausam ko ustad kiya
Udas Aankhon Se Aansu Nahi Nikalte HainUdas aankhon se aansu nahi nikalte hainYe motiyon kee tarah sipiyon mein palte hainGhane dhuen mein farishte bhi aankh malte hainTamam raat khajuron ke ped jalte hainMain shah reh nahin, raste ka pathar hunYahan sawar bhi paidal utar kar chalte hainUnhe kabhi na batana main unki aankhein hunWo log phool samajhkar mujhe masalte hainYe ek ped hai, aa iss se milkar ro lein humYahan se tere mere raaste badalte hainKai sitaron ko main janata hun bachpan seKahin bhi jaun mere saath saath chalte hain
Koi Kaanta Chubha Nahi HotaKoi kaanta chubha nahi hotaDil agar phool sa nahi hotaKuch to majabooriyan rahi hongiYun koi bewafa nahi hotaGuftagu un se roz hoti haiMuddaton saamana nahi hotaJee bahut chahta sach boleKya karein haunsala nahi hotaRaat ka intezar kaun kareAaj kal din mein kya nahi hota
Phool Mazaar Tak Nahi Pahuncha Daaman-E-Yaar Tak Nahi PahunchaPhool mazaar tak nahi pahuncha daaman-e-yaar tak nahi pahunchaHo gaya vo kafan se to aazaad phir bhi gulzaar tak nahi pahuncha
Hum Teri Dosti Aakri Dum Tak NibhaayengeHum teri dosti aakri dum tak nibhaayengeJahaan tu pair rakehga vahaan phool bichaayengeTu ek baar examination hall mein ghus to sahiVaadaa hai tujhse ki hum parchi fenkne zarur aayenge!