Ik Sehmi Sehmi Si

SHARE

Ik sehmi sehmi s
Ik sehmi sehmi si aahat hai, ik mehka mehka saya hai
Ehsaas ki is tanhai mein yeh raat gyi kon aya hai
Aye shaam alam kuch tu hi bata, yeh dhang tujhe kyon bhaya hai
Woh meri khoj mein nikla tha aur tujh ko dhoond ke aya hai
Main phool samajh ke chun loon ga is bheege se angaaron ko
Ankhon ki ibaadat ka main ne bss ek yahi phal paya hai
Kuch roz se barpa chaar taraf hain shadi-o-gham ke hangamey
Sunte hain chaman ko maali ne phoolon ka kafan pehnaya hai

This is a great haseen shaam shayari. If you like tanhai shayari 140 then you will love this. Many people like it for akele hain shayari. Share it to spread the love.

SHARE