Udas aankhon se aansu nahi nikalte hainYe motiyon kee tarah sipiyon mein palte hainGhane dhuen mein farishte bhi aankh malte hainTamam raat khajuron ke ped jalte hainMain shah reh nahin, raste ka pathar hunYahan sawar bhi paidal utar kar chalte hainUnhe kabhi na batana main unki aankhein hunWo log phool samajhkar mujhe masalte hainYe ek ped hai, aa iss se milkar ro lein humYahan se tere mere raaste badalte hainKai sitaron ko main janata hun bachpan seKahin bhi jaun mere saath saath chalte hain
This is a great aansu shayari.