Usi se aaye hain aashob aasman waleJise gubaar samajhate the karavan waleMain apni dhun mein yahan aandhiyan uthata hunMagar kahan wo maze khaak-e-aashiyan waleMujhe diya na kabhi mere dushmano ka pataMujhe hawa se ladhate rahe jahan waleMere saraab-e-tamanna pe rashk tha jin koBane hain aaj wahi bahar-e-be-karaan waleMain nala hun mujhe apne labon se door na rakhMujhi se zinda hai tu mere jism-o-jaan waleYe musht-e-khaak 'zafar' mera pairahan hi tu haiMujhe zameen se darayein na kehakashan wale
This is a great aasman shayari.