Pani aankh mein bhar kaPani aankh mein bhar kar laya ja sakta haiAb bhi jalta shehar bachaya ja sakta haiEk mohabbat aur woh bhi nakam mohabbatLekin iss se kaam chalaya ja sakta haiDil par paani peene aati hain umeedienIss chashme mein zeher milaya ja sakta haiMujh gumnaam se puchte hain farhaad-o-majnoonIshq mein kitna naam kamaya ja sakta haiYeh mehtab yeh raat kee peshani ka ghavAisa zakham to dil par khaya ja sakta haiPhata purana khwaab hai mera phir bhi 'tabish'Iss mein apna aap chupaya ja sakta hai
This is a great aankh aansu shayari. If you like aag pani shayari then you will love this. Many people like it for bhar do jholi shayari. Share it to spread the love.