Koi Naa Jaan Saka

SHARE

Koi naa jaan sak
Koi naa jaan saka woh kahan se aaya tha
Aur us ne dhoop se baadal ko kyon milaya tha
Yeh baat shayad logon ko pasand aayi nahin
Makaa'n chota tha lekin bohat sajaya tha
Woh ab wahan hai jahan raste nahin jate
Main jis ke sath yahan pichle saal aya tha
Suna hai us pe chehekne lage hain parindey bhi
Woh aik pau'daa jo hum ne kabhi lagaya tha
Chiragh doob gaye kapkapaye honton par
Kisi ka hath hamare labo'n tak aya tha
Badan ko chorr ke jana hai aasman ki taraf
Samundro'n ne humein yeh sabaq parhaya tha
Tamam umar mera dam isi dhuyein mein ghutta
Woh ik chiragh thaa maine usey bhujaya tha

This is a great jaan shayari 2 lines. If you like jaan shayari 2015 then you will love this. Many people like it for jaan shayari collection. Share it to spread the love.

SHARE