Hum Nahin Kehte Hamari

SHARE

Hum nahin kehte hamar
Hum nahin kehte hamari, teri duniya ho jaye
Itne rangon mein koi rang toh apna ho jaye
Ishq woh turfa-balaa hai ke kare jis ki talb
Us ko maloom na ho, sheher mein charcha ho jaye
Do sitaron ko jo dekhoon teri ankhein ban jayein
Chand ko dheyan mein laaon tera chehra ho jaye
Har dora hai yeh nigehbaan khari hai kismat;
Kaise mumkin hai ke har shasks ka socha, ho jaye
Hum ko har bazm mein, har haal mein sach kehna hai
Sheher ka sheher khafaa hota hai, acha ho jaye
Ishq woh kaar-e-musalsal hai nahin jis ki akheer
Us ki taufiq hai jis shakhs se jitna ho jaye
Husn ki ankh woh tahsees talb hai amjad
Bheed ho charon taraf aur koi tanha ho jaye

This is a great hamari galti shayari. If you like kehte hai shayari then you will love this. Many people like it for kehte hain shayari. Share it to spread the love.

SHARE