Ab woh ghar tak viraana tha bas viraana zinda thaSab aankhen damm tod chuki thi aur main tanha zinda thaSaari gali sunsaan padi thi baad-e-fana ke pehre meinHijr ke dalaan aur aangan mein bas ik saaya zinda thaWoh dopeher apni rukhsat ki aisa waisa dhoka thiApne andar apni laash uthaaye main jhootha zinda thaThi woh ghar raatein bhi kahani vaade aur phir din ginnaAana tha jaane wale ko jaane wala zinda thaDastak dene wale bhi the dastak sunne wale bhiTha abaad mohalla sara har darwaza zinda thaPeele patton ko seh-pehr ki vehshat pursa deti thiAangan mein ik aundhe ghade par bas ik kava zinda tha
This is a great ek ghar shayari. If you like shayari zinda dil then you will love this. Many people like it for ghar aana shayari. Share it to spread the love.