Ye keh gaye hain musafir lute gharon waleDare hawa se parinde khule paron waleYe mere dil kee hawas dasht-e-be-karan jaisiVo teri aankh ke tevar samandaron waleHawa ke haath mein kaase hain zard patton keKahan gaye vo sakhi sabz chadaron waleKahan milenge vo agle dino ke shehzadePahan ke tan pe libaade gada-garon walePahadiyon mein ghire ye bujhe bujhe raasteKabhi idhar se guzarte the lashkaron waleUnhi pe ho kabhi nazil azaab aag ajalVahi nagar kabhi theharen pyambaron waleTere supurd karun aaine muqaddar keIdhar to aa mere khush-rang pattharon waleKisi ko dekh ke chup chup se kyon hue 'mohsin'Kahan gaye vo iraade sukhan-varon wale
This is a great akele hain shayari. If you like akela musafir shayari then you will love this. Many people like it for bhul gaye shayari images. Share it to spread the love.