Hoga Musafir Jo Hoga musafir joHoga musafir jo jahan me aayegaSafar ka jahan muqaam chor jayegaIss safar me hote hain sath musafir bahutKoi kisi ke sath naa aaya jayegaJayenge yeh doulat yahan chor kar saareJism ko sirf do gazz kafan pehnaya jayegaSajaya nahi jayega phir heere motiyoun seZyada se zyada haar-e-gul pehnaya jayegaEk hi baat hai sachi har dammRuhh ka sath toh rabb hi nibhayega
Sar-e-Sehra Musafir Ko Sitara Yaad Rehta HaiSar-e-sehra musafir ko sitara yaad rehta haiMain chalta hun mujhe chehra tumhara yaad rahta haiTumhara zarf hai tum ko mohabbat bhool jati haiHumein to jis ne hans kar bhi pukara yaad rehta haiMohabbat mein jo doobaa ho use sahil se kya lenaKise is bahaar mein ja kar kinara yaad rehta haiBahut leharon ko pakda doobane wale ke haathon neYahi bas ek dariya ka nazara yaad rehta haiSadayein ek si yaksaniyat mein doob jati hainZara sa mukhtalif jis ne pukara yaad rehta haiMain kis tezi se zinda hun main ye to bhool jata hunNahi aanaa hai duniya mein dobaraa yaad rehta hai
Ye Keh Gaye Hain Musafir Lute Gharon WaleYe keh gaye hain musafir lute gharon waleDare hawa se parinde khule paron waleYe mere dil kee hawas dasht-e-be-karan jaisiVo teri aankh ke tevar samandaron waleHawa ke haath mein kaase hain zard patton keKahan gaye vo sakhi sabz chadaron waleKahan milenge vo agle dino ke shehzadePahan ke tan pe libaade gada-garon walePahadiyon mein ghire ye bujhe bujhe raasteKabhi idhar se guzarte the lashkaron waleUnhi pe ho kabhi nazil azaab aag ajalVahi nagar kabhi theharen pyambaron waleTere supurd karun aaine muqaddar keIdhar to aa mere khush-rang pattharon waleKisi ko dekh ke chup chup se kyon hue 'mohsin'Kahan gaye vo iraade sukhan-varon wale
Assa Vaang Musafir Tur JaanaAssa vaang musafir tur jaanaTeri mehfil sada abaad raheKade do-chaar hanju dol lavinJekar tenu saadi yaad rahe
Mumkin Hai Nikal Aaye Yahan Koi MusafirMumkin hai nikal aaye yahan koi musafirSehraa mein lagaate chalo do chaar shajar aur
Kis Liye Katra Ke Jata Hai Musafir Dum To LeKis liye katra ke jata hai musafir dum to leAaj sukha ped hun kal tera saya main hi tha