Koi Din Gar Zindgani

SHARE

Koi din gar zindgan
Koi din gar zindgani aur hai
Apne jee mein hum ne thaani aur hai
Aatish-e-dozakh mein yeh garmi kahaan
Soz-e-ghumhaae nihaani aur hai
Baarha dekhi hain unki ranjishen
Par kuch ab ke sargaraani aur hai
De ke khat munh dekhta hai naama bar
Kuch to paigham-e-zabaani aur hai
Qaata-e-aamaar hain aksar nazoom
Woh balaa-e-aasmaani aur hai
Ho chukin ghalib balayein sab tamaam
Ek marg-e-naagahaani aur hai

This is a great ghalib shayari book. If you like akele hain shayari then you will love this. Many people like it for aksar log shayari. Share it to spread the love.

SHARE