Jalwe Meri Nigah Mein

SHARE

Jalwe meri nigah mei
Jalwe meri nigah mein kaun-o-makaan ke hain
Mujhe se kahan chhipenge, woh aise kahaan ke hain
Karte hain qatal woh, talab-e-maghfarat ke baad
Jo the duaa ke haath, wohi imtehaan ke hain
Jis din se kuchh sharik hui meri musht-e-khaak
Us roz se zameen pe sitam aasmaan ke hain
Kaisa jawaab, hazrat-e-dil, dekheye zaraa
Paighambar ke haath mein tukre zabaan ke hain
Kya iztaraab-e-shauq ne mujh ko khajil kiya
Woh puchhte hain, kaheye, iraade kahaan ke hain
Aashiq tere adam ko gaye kisqadar tabaah
Puchha har ek ne yeh musaafir kahan ke hain
Har chand dagh ek hi ayyar hai, magar
Dushman bhi tau chhate hue saare jahaan ke hain
Translation
Talab-e-maghfarat = strike
Iztaraab-e-shauq = commotion of lov
Khajil = embarrassmen

This is a great ek nigah shayari. If you like husn ke jalwe shayari then you will love this. Many people like it for meri shayari facebook. Share it to spread the love.

SHARE