Toote Teri Nigah Se Toote teri nigah seToote teri nigah se agar dil habaab kaPaani bhi phir piein to maza hai sharaab kaDozakh mujhe qabool, ai, munkir-o-nakeerLekin nahin dimagh sawaal-o-jawab kaTha kis ke dil ko kashmkash-e-ishq ka dimaghYaarab bura ho deeda-e-khana-kharaab kaZahid sabhi hai neimat-e-haq jo hai aql-o-sharbLekin ajab maza hai sharaab-o-kabaab kaGhaafil ghazab se ho ke karam par na rakh nazarPur hai sharar-e-baraq se daaman sahaab kaQatra gira tha choo ke mere ashk-e-garam seDarya mein hai hanzooz phaphola habaab kaSauda, nigah-e-deeda-e-tahqiq ke hazurJalwa har ek zarre mein hai aaftaab kaTranslationDozakh: suffer in helMunkir-o-nakeer: angels divinSharar-e-baraq: vernal cloud rain and fire combin
Jalwe Meri Nigah MeinJalwe meri nigah meiJalwe meri nigah mein kaun-o-makaan ke hainMujhe se kahan chhipenge, woh aise kahaan ke hainKarte hain qatal woh, talab-e-maghfarat ke baadJo the duaa ke haath, wohi imtehaan ke hainJis din se kuchh sharik hui meri musht-e-khaakUs roz se zameen pe sitam aasmaan ke hainKaisa jawaab, hazrat-e-dil, dekheye zaraaPaighambar ke haath mein tukre zabaan ke hainKya iztaraab-e-shauq ne mujh ko khajil kiyaWoh puchhte hain, kaheye, iraade kahaan ke hainAashiq tere adam ko gaye kisqadar tabaahPuchha har ek ne yeh musaafir kahan ke hainHar chand dagh ek hi ayyar hai, magarDushman bhi tau chhate hue saare jahaan ke hainTranslationTalab-e-maghfarat = strikeIztaraab-e-shauq = commotion of lovKhajil = embarrassmen
Dil O Nigah PeDil o nigah pDil o nigah pe taari rahe fasoon iskaTumhara ho ke bhi mumkin hai mein rahoon uskaTujhe khabar nahin is baat ki abhi shayedKe tera ho to geya hoon magar mein hoon uskaAb is se qata-taluq mein behtri hai meriMain apna reh nahin sakta agar rahoon uskaZameen ki khaak to kab ki urraa chuke hain humHamari zadd mein hai ab chiraag neelgon uskaDil-e-tabaah ki dharkan bata rahi hai razaYahin kahin pe hai woh sheher pursakoon uska
Dil O Nigah Pe TeriDil o nigah pe terDil o nigah pe teri rahe fasoon is kaTumhara ho ke bhi mumkin hai mein rahoon us kaTujhe khabar nahin is baat ki abhi shayadKi tera ho to geya hoon magar main hoon us kaAb is se qata-taluq mein behtri hai meriMain apna reh nahin sakta agar rahoon us kaZameen kee khaak to kab ki udaa chuke hain humHamari yaad mein hai ab chiraag neelgon us kaDil-e-tabaah kee dhadkan bata rahi hai razaYahin kahin pe hai woh sheher pursakoon us ka
Teri Nigah Ke JaduTeri nigah ke jadTeri nigah ke jadu bikharte jate hainJo zakhm dil ko mile woh bharte jate hainTere baigair woh din bhi guzar gaye aakhirTere baigair ye din bhi guzarte jate hainLiye chalo mujhe dariya-e-shauq kee maujonKi humsafar to mere paar utarte jate hainTamaam umar jahan hanste khelte guzariAb us gali mein bhi hum darte darte jate hainMein khawhishon ke gharaunde banaye jata hunWoh mehnatein meri barbad kiye jate hain
Dil Soz Se Khali Hai Nigah Paak Nahi HaiDil soz se khali hai nigah paak nahi haiPhir is mein ajab kya ki tu be-baak nahi haiHai zauq-e-tajali bhi isi khaak mein pinahaGaafil tu nira sahib-e-idrak nahi haiWo aankh ki hai surma-e-afarang se roshanPur-kaar o sukhan-saaz hai nam-naak nahi haiKya sufi-o-mullaa ko khabar mere junoon keeUn ka sar-e-daaman bhi abhi chaak nahi haiKab tak rahe mahakumi-e-anjum mein meri khaakYaa main nahi yaa gardish-e-aflaak nahi haiBijli hun nazar koh o bayaabaan pe hai meriMere liye shayan khaas-o-khashak nahi haiAalam hai faqat momin-e-jaanbaaz kee meeraasMomin nahi jo sahib-e-laulaak nahi hai