Chand Tahniyon Ke Kafan Pe

SHARE

Chand tahniyon ke kafan pe, syahi ki kaalikh mal dete hain
Khyaal "raaz" ke bejeaa, kyon bezubaan ki laash masal dete hain
Daur-o-jaam ki mehfilon mein, saagaro minaa tak hain sab aziz
Ashk chalkein to hum sharminda, woh sar jhatakte hain, chal dete hain
Ghamgusaari to ki aksar, sochta hun ki chand pareshaniyan meri bhi to hain
Hazi, qazi, niyazi koi ho, kuch to aise milao jo 'hal' dete hain
Nekdili, saafgoi, dayanat ke sab jazbon ko kitabon mein hi rehne den
Tazurba hai, bargalate hain aalim kehkar, ki inka farishte 'fal' dete hain
Ye jalwa-e-husn, ye chamak, ye nazare jahan ke, "raaz" ke vaaste na bhi sahi
Itna to humein bhi myssar, maula maula kehte bhi khyaal to machal dete hain

This is a great chand shayari 2 line. If you like chand shayari 2 line in hindi then you will love this. Many people like it for chand shayari ahmad faraz. Share it to spread the love.

SHARE