Chaand Sitaron Se Kya Puchu Kab Din Mere Firte Hain

SHARE

Chaand sitaron se kya puchu kab din mere firte hain
Wo to bechare khud hain bikhari, dere-dere firte hain
Jin galiyon mein hum ne sukh kee sej pe raate kaati thi
Un galiyon mein vyakul hokar saanjh savere firte hain
Roop-saroop kee jot jagana is nagari mein zokhim hai
Chaaro khunt bagule ban kar ghor andhere firte hain
Jin ke shaam-badan saaye mein mera man sustaya tha
Ab tak aankhon ke aage wo bal ghanere firte hain
Koi humein bhi ye samjha do un par dil kyon reejh geya
Teekhi chitwan baanki shab wale bahutere firte hain
Is nagri mein baag aur ban ki yaaro leela nayari hai
Panchi apne sar pe uthakar apne basere firte hain
Log to daman si lete hai jaise ho jee lete hain
'abid' hum deewane hain jo baal bikhere firte hain

This is a great akele hain shayari. If you like mere dushman shayari then you will love this. Many people like it for mere lafz shayari. Share it to spread the love.

SHARE