Chaand Sitaron Se Kya Puchu Kab Din Mere Firte HainChaand sitaron se kya puchu kab din mere firte hainWo to bechare khud hain bikhari, dere-dere firte hainJin galiyon mein hum ne sukh kee sej pe raate kaati thiUn galiyon mein vyakul hokar saanjh savere firte hainRoop-saroop kee jot jagana is nagari mein zokhim haiChaaro khunt bagule ban kar ghor andhere firte hainJin ke shaam-badan saaye mein mera man sustaya thaAb tak aankhon ke aage wo bal ghanere firte hainKoi humein bhi ye samjha do un par dil kyon reejh geyaTeekhi chitwan baanki shab wale bahutere firte hainIs nagri mein baag aur ban ki yaaro leela nayari haiPanchi apne sar pe uthakar apne basere firte hainLog to daman si lete hai jaise ho jee lete hain'abid' hum deewane hain jo baal bikhere firte hain
Arz Kiya Hai:Arz kiya haiMehfil mein hamare joote kho gaye to ham ghar kaise jayengeWah wahMehfil mein hamare joote kho gaye to ham ghar kaise jayengeKisi ne kaha"aap shayari to shuru kijiye, itne milenge ki aap gin nahi payenge"
Puch Rahi Hain Aaj Mujh Se Meri ShayariyanPuch rahi hain aaj mujh se meri shayariyanKi kahan udd gaye wo parinde jo waah waah kiya karte the