Ab Woh Ghar Tak Viraana Tha Bas Viraana Zinda Tha

SHARE

Ab woh ghar tak viraana tha bas viraana zinda tha
Sab aankhen damm tod chuki thi aur main tanha zinda tha
Saari gali sunsaan padi thi baad-e-fana ke pehre mein
Hijr ke dalaan aur aangan mein bas ik saaya zinda tha
Woh dopeher apni rukhsat ki aisa waisa dhoka thi
Apne andar apni laash uthaaye main jhootha zinda tha
Thi woh ghar raatein bhi kahani vaade aur phir din ginna
Aana tha jaane wale ko jaane wala zinda tha
Dastak dene wale bhi the dastak sunne wale bhi
Tha abaad mohalla sara har darwaza zinda tha
Peele patton ko seh-pehr ki vehshat pursa deti thi
Aangan mein ik aundhe ghade par bas ik kava zinda tha

This is a great ek ghar shayari. If you like shayari zinda dil then you will love this. Many people like it for ghar aana shayari. Share it to spread the love.

SHARE