Ye Aarzoo Thi Tujhe Gul Ke Rubaru Karte

SHARE

Ye aarzoo thi tujhe gul ke rubaru karte
Hum aur bulbul-e-betaab guftagu karte
Payaam bar na mayassar hua to khoob hua,
Zubaan-e-gair se kya shar kee aarzoo karte
Meri tarah se maah-o-mahar bhi hain aawara,
Kisi habeeb ko ye bhi hain justaju karte
Jo dekhte teri zanjeer-e-zulf ka aalam,
Aseer hone ke aazaad aarzoo karte;
Na puch aalam-e-bargashta tali-e-"aatish",
Barasati aag mein jo baaraan kee aarzoo karte!

This is a great aarzoo shayari.

SHARE