Paikar Tha Wafa Ka

SHARE

Paikar tha wafa k
Paikar tha wafa ka, mohabbat ka khuda tha
Woh shakhs zamane mein sab se hi juda tha
Chahat ke khazane they har lafz mein us ke
Daaman mera us ne duaaon se bhara tha
Mujh ko nahin dekha karri dhoop ne chu kar
Baba mera duniya main mujhe aisa jo mila tha
Fikrein na zamane ki kabhi paas bhi aayi
Har dard meri hasti se dartaa hi raha tha
Jab tak raha saanson ka basera mere baba
Tab tak main ghamon se bachta hi raha tha
Us shaam ki hiddat mere dil se nahin jati
Jis shaam tera saaya mere sar se utha tha

This is a great wafa shayari 2 lines. If you like wafa shayari download then you will love this. Many people like it for wafa shayari facebook. Share it to spread the love.

SHARE