Kat Gayi Jhagde Mein Sari Raat Vasl-e-Yaar Kee

SHARE

Kat gayi jhagde mein sari raat vasl-e-yaar kee
Shaam ko bosa liya tha, subah tak taqarar kee
Zindagi mumkin nahi ab aashiq-e-beemar kee
Chhid gayi hain barchiyan dil mein nigah-e-yaar kee
Hum jo kehte the na jana bazm mein agayaar kee
Dekh lo neechi nigahein ho gayi sarkaar kee
Zehar deta hai to de, zaalim magar taskeen ko
Is mein kuch to chashni ho sharab-e-deedaar kee
Baad marne ke mili jannat khudaa ka shukr hai
Mujhko dafnaya rafeeqon ne gali mein yaar kee
Haal-e-'akbar' dekh kar bole buri hai dosti
Aise rusvayi, aise rind, aise khudayi khwaar kee

This is a great badal gayi shayari. If you like bhul gayi shayari then you will love this. Many people like it for chandni raat shayari. Share it to spread the love.

SHARE