Kah rahi hai hashar meiKah rahi hai hashar mein woh aankh sharmaai huiHaae kaise is bhari mahfal mein ruswaai huiAaeene mein har ada ko dekh kar kahte hain wohAaj dekha chaaheye kis kis ki hai aai huiKah tu ai gulcheen, aseeraan-e-qafas ke waasteTor lun do chaar kalian main bhi murjhaai huiMain tau raaz-e-dil chhipaaun, par chhipa rahne bhi deJaan ki dushman, yeh zaalim aankh lalchaai huiGhamza-o-naaz-o-ada sab mein hai haya ka lagaaoHaae re bachpan, keh shokhi bhi hai sharmaai huiWasl mein khali hui aghiyaar se mahfal tau kyaSharm bhi jaae tau mein jaanun keh tanhaai huiGard uri aashiq ki turbat se tau jhunjala ke kahaWah sar charhne lagi, paaon ki thukraai hui
This is a great akram rahi shayari. If you like dosti na rahi shayari then you will love this. Many people like it for rahi bastavi ki shayari. Share it to spread the love.