Humein Koi Gham Nahi Tha

SHARE

Humein koi gham nahi th
Humein koi gham nahi tha gham-e-aashiqui se pehle
Na thi dushmani kisi se teri dosti se pehle
Hai ye meri badnaseebi tera kya kasur iss mein
Tere gham ne maar dala mujhe zindagi se pehle
Mera pyaar jal raha hai ai chand aaj chhup jaa
Kabhi pyaar tha humein bhi teri chandni se pehle
Main kabhi na muskurata jo mujhe ye ilm hota
Ki hazaron gham milenge mujhe ik khushi se pehle
Ye ajeeb imtihan hai ki tum hi ko bhulana hai
Mile kab the iss tarah hum tumhein bedili se pehle

This is a great gham shayari by famous urdu poets. If you like kadar nahi shayari then you will love this. Many people like it for darte nahi shayari. Share it to spread the love.

SHARE