Dil Jal Raha Tha Gham

SHARE

Dil jal raha tha gha
Dil jal raha tha gham se magar nagmagar raha
Jab tak raha main, saath mere yeh hunar raha
Subah-e-safar ki raat thi, taare the, aur hawa
Saaye sa ek, der talak, baam par raha
Meri sada hawa mein bohat door tak gayi
Par main bula raha tha jise, bekhabar raha
Guzari hai kya maze se khayaalon mein zindagi
Doori ka yeh tilism bada kaargar raha
Khauf aasmaan ke saath tha sar par jhuka hua
Koi hai bhi ya nahin hai,yahi dil mein dar raha
Is aakhiri nazar mein ajab dard tha 'munir'
Jaanay ka uske ranj mujhe umr bhar rah

This is a great gham shayari by famous urdu poets. If you like raha nahi jata shayari then you will love this. Many people like it for aitbaar na raha shayari. Share it to spread the love.

SHARE