Kab Woh Zahir Hoga Aur

SHARE

Kab woh zahir hoga au
Kab woh zahir hoga aur hairan kar dega mujhe
Jitni bhi mushkil mein hun aasan kar dega mujhe
Roo-b-roo kar ke kabhi apne mehakte surkh honth
Ek do pal ke liye guldaan kar dega mujhe
Rooh phoonkega mohabbat kee mere paikar mein woh
Phir woh apne samne be-jaan kar dega mujhe
Khwahishon ka khoon bahega sar-e-bazar-e-shauq
Aur mukammal be-e-sar-o-saman kar dega mujhe
Munahadim kar dega aa kar sari tameeraat-e-dil
Dekhte hee dekhte veeran kar dega mujhe
Ek naa-maujudgi reh jayegi charon taraf
Rafta rafta iss qadar sunsaan kar dega mujhe
Ya to mujh se woh chuda dega ghazal-goyi 'zafar
Ya kisi din sahab-e-deevaan kar degaa mujhe

This is a great anjaam kya hoga shayari. If you like kahin to hoga shayari then you will love this. Many people like it for kal kya hoga shayari. Share it to spread the love.

SHARE