Jhonka idhar na aaye naseem-e-bahaar kaNaazuk bahut hai phool charaag-e-mazaar ka;Phir baithe-baithe vaad-e-vasl us ne kar liyaPhir uth khada hua vahi rog intezaar ka;Shaakhon se barg-e-gul nahi jhadte hain baag mein,Zevar utaar raha hai uroos-e-bahaar ka;Har gul se laalazaar mein ye puchta hun main,Tu hi pata bata de dil-e-daagdaar ka;Is pyaar se fishaar diya gor-e-tang ne,Yaad aa geya maza mujhe aagosh-e-yaar ka;Hilti nahi hawa se chaman mein ye daaliyanMunh choomte hain phool uroos-e-bahaar ka;Uthta hai naza mein vo sarhane se ai 'ameer',Mitta hai aasra dil-e-ummeedvaar ka
This is a great idhar udhar shayari. If you like hawa ka jhonka shayari then you will love this. Many people like it for aap aaye shayari. Share it to spread the love.