Ajnabi Khauf Fizaon

SHARE

Ajnabi khauf fizao
Ajnabi khauf fizaon mein basa ho jaise
Shehar ka shehar hi aaseb zada ho jaise
Raat ke pichle pehar aati hain awazein si
Dur shehar mein koi cheekh raha ho jaise
Dar-o-divar pe chhai hai udasi aisi
Aaj har ghar se janaza sa utha ho jaise
Muskurata hun pa-e-khatir-e-ahabab magar
Dukh to chehre ki lakiron pe saja ho jaise
Ab agar dub gaya bhi toh marunga na kamal
Behte pani pe mera naam likha ho jaise
Translation
Aaseb zadaa = haunted
Cheekh = scream
Pa-e-khatir-e-ahabab = for the welcome of friend

This is a great dukh bhari shayari in hindi. If you like friends shayari 2 lines then you will love this. Many people like it for aitbaar na raha shayari. Share it to spread the love.

SHARE