Pani Aankh Mein Bhar Kar:

SHARE

Pani aankh mein bhar kar
Pani aankh mein bhar kar laya ja sakta hai
Ab bhi jalta shehar bachaya ja sakta hai
Ek mohabbat aur woh bhi nakam mohabbat
Lekin iss se kaam chalaya ja sakta hai
Dil par paani peene aati hain umeedein
Iss chashme mein zeher milaya ja sakta hai
Mujh gumnaam se puchte hain farhaad-o-majnoon
Ishq mein kitna naam kamaya ja sakta hai
Yeh mehtab yeh raat kee peshani ka ghav
Aisa zakham to dil par khaya ja sakta hai
Phata purana khwaab hai mera phir bhi tabish
Iss mein apna aap chupaya ja sakta hai

SHARE