Tere Hone Par Bhi Khud Ko Tanhaa Samjhoon

SHARE

Tere hone par bhi khud ko tanhaa samjhoon. main be-wafa hoon, ya tujh ko be-wafa samjhoon.? teri be-rukhi se waqt to guzar gaya hai mera. yeh khud daari hai, ya teri adaa samjhoon. tere baad kya haal huwa hai mera.. yeh teri inaayat hai, ya sazaa samjhoon. zakham dete ho aur marham bhi lagaate ho", yeh teri aadat hai, yaa adaa samjhoo.

SHARE