Kg: “kisi se dosti nahi thi
aur ladka ladki sab hath pakad kar chalte the”
12th: “dosti bhi hai
aur pyar bhi,
par hath pakadne se darte hai”
kg: “pencil, rubber, sharpner, scale,
sab roz le jate the”
12th: “1 pen bhi doosri class se mangne jate hai”
kg: “lunch se pahle hand wash aur prayer karte the”
12th: “1st period mein hi lunch khatam kar dete hai”
kg: “class mein enter hone se pahle,
mam, may i come in bolte the”
12th: “bina bataye hi poore
period bunk pe rahte hai”
kg: “bag mein har subject ki book
aur copy dalte the”
12th: “har subject ki 1 hi copy banate hai”
kg: “class test mein star milta tha”
12th: “full moon hi naseeb hote hai”
kg: “roz diary likhte the aur mom ko dikhate the”
12th: “1st page pe details bhar kar diary kisi kone mein fenk dete hai”