Zahra aur haider jiska jhula jhulaye, khatm-e-mursal bhi jiske naaz uthaaye khaali sawaali jiske ghaar say naa jaaye hal min ki deta hai woh ban mai sadaaye. ya hussainan ya gharibun ya zabeehun bekhata
Jabeen-e-ibn-e-ali ki niyaz jari hai khuda k deen ki umr-e-daraz jari hai sajday main rakh k sir ko na uthaya hussain nay mere hussain ki ab tak namaz jari hai
Jo zulm peh la’nat na kare, aap la’een hai jo jabar ka munkir nahi, woh munkire deen hai (faiz ahmed faiz)
Yun hi nahi jahan main charcha hussain ka kuch dekh k hua tha zamana hussain ka sar de k do jahan ki hukumat khareed li mehanga para yazeed ko sauda hussain ka …
Nabi (risalat) ali (imamat) nabi (haqoomat) ali (riyasat) nabi (adalat) ali (waqalat) nabi (sakhawat) ali (wirhasat) nabi (rasol allah) ali (asad-ul-allah) nabi (habib-ul-allah) ali (wali-ul-allah) nabi (hifz) ali (hafiz) nabi (quran) ali (zubaan) nabi (ibtida) ali (intiha) nabi(shaher) ali (dar) nabi(mustafa) ali (murtaza) nabi(talwar) ali (vaar) nabi(ameer aur mukhtar) ali (haider-e-karrar) …
Day key saar shabeer ney islam zinda ker diya karbala ko jis key sajdey ney mu-allah ker diya day key saar shabeer ney islam zinda ker diya hasher tak koi yazeede sar utha sakta naheen jis ka mutlab zindagee bher deen chuka saktna naheen
Leta tamaam kaam woh apne wali se hy nisbat har aik imam ki noor-e-jali se hay kul akhtiyaar de diya hassan-o-hussain ko daita khuda zaroor hay par milta ali say hay
¤ nijat ki jab appeal karna, ¤ hussain * apna wakeel karna, ¤ agar sar kay badle * hussain * mile, ¤ to zindagi na taveel karna.
Khoon se charagh-e-deen jalaya hussain ne,, rasm-e-wafa ko khoob nibhaya hussain ne.. khud ko to ek boond bhi pani na mil saka,, karb-o-bala ko khoon pilaya hussain ne.. aesi namaz kaon parhega jahan men? sajda kiya to sar na uthaya hussain ne.! sab kuch khuda ki raah men qurban kar diya, asghar sa phool bhi na bachaya hussain ne..
Aey karbala k qasr ki mai’maar as’salam…. aey jur’aton ki aahani deewar as’salam…. ghurbat may shahzadi-e mukhtar as’salam…. aey ghaaza-e-rukh-e-shah-e-abraar as’salam…. jo rang charh chuka tha utarnay nahi diya…. tu nay kisi shaheed ko mernay nahi diya
Sajday se karbala ko bandagi mil gai sabar se ummat ko zindagi mil gai ek chamman fatima(s.a) ka ujra magar sarey islam ko zindagi mil gai
Sar gair k aage na jukane wala aur nezey pey bhi quraan sunaney wala islam se kya poochte ho kon hussain islam ko islam banane wala