Jhonka Idhar Na Aaye Naseem-e-Bahaar KaJhonka idhar na aaye naseem-e-bahaar kaNaazuk bahut hai phool charaag-e-mazaar ka;Phir baithe-baithe vaad-e-vasl us ne kar liyaPhir uth khada hua vahi rog intezaar ka;Shaakhon se barg-e-gul nahi jhadte hain baag mein,Zevar utaar raha hai uroos-e-bahaar ka;Har gul se laalazaar mein ye puchta hun main,Tu hi pata bata de dil-e-daagdaar ka;Is pyaar se fishaar diya gor-e-tang ne,Yaad aa geya maza mujhe aagosh-e-yaar ka;Hilti nahi hawa se chaman mein ye daaliyanMunh choomte hain phool uroos-e-bahaar ka;Uthta hai naza mein vo sarhane se ai 'ameer',Mitta hai aasra dil-e-ummeedvaar ka
Main Toh Jhonka HunMain toh jhonka hun hawaon ka uda le jaaungaJagti rahna tujhe tujhse chura le jaaungaHo ke kadmon pe nichhavar phool ne but se kahaKhak mein milkar bhi main khusboo bacha le jaaungaKoun si shayy mujhko pahuchayegi tere sahar takYeh pata toh tab chalega jab pat ale jaaungaKoshishe mujhko mitane ki bhale ho kamyabMitate mitate bhi main mitne k amaja le jaaungaShohratein jinki vajah se dost dushman ho gayeSabh yahin rah jaayengi main sath kya le jaaunga