Apna To Chahton MeinApna to chahton meiApna to chahton mein yahi ek asool haiTera bhala bura humein sab kuch qubool haiYeh umar bhar ka jaagna bekaar hi na jayeTu na mila to saari reyazat fizool haiKhud hi kaha tha tu ne meri jaan chorr deAb chorr di to kyon tera chehra malool haiAi maan yeh meri shohratein meri yeh izateinKuch bhi nahi bas tere kadmon ki dhool haiAayi jo teri yaad to aankhein baras padiIss waqt tere dard ka dil par nazool haiIk doosre ke waastey dono bane 'wasi'Guldaan mera dil hai teri yaad phool hai
Kis-Kis Ada Se TuneKis-kis ada se tunKis-kis ada se tune jalwa dikha ke maraAazad ho chuke the, banda bana ke maraAwal bana ke putla, putle mein jaan daliPhir usko khud qaza kee soorat mein aake maraAankhon mein teri zaalim churiyaan chupi hui hain;Dekha jidhar ko tune palkein uthake maraGunchon mein aake mehka, bulbul mein jake chehka;Isko hansa ke mara, usko rula ke mara;Sosan kee tarah 'akbar', khamosh hain yahan par;Naragis mein isne chhip kar aankhein lada ke mara
Dil Daba Jata Hai Kitna Aaj Gam Ke Baar SeDil daba jata hai kitna aaj gam ke baar seKaisi tanhayi tapakti hai dar-o-deewar seManzil-e-iqrar apni aakhiri manzil hai abHum ke aaye hain guzar kar jaada-e-inkaar seTarjuman tha aks apne chehra-e-ghum-gashta kaIk sada aati rahi aaina-e-asrar seMaand padte ja rahe the khwab-tasveeron ke rangRaat utarti ja rahi thi dard kee deewar seMain bhi 'akbar' karb-aagin jaanta hun zeest koMunsalik hai fikr meri fikr-e-shopnah aahur se
Dil Daba Jata HaiDil daba jata haDil daba jata hai kitna aaj gam ke bhaar seKaisi tanhayi tapakti hai dar-o-deewar seManzil-e-iqrar apni aakhiri manzil hai abHum ke aaye hain guzar kar jaada-e-inkaar seTarjuman tha aks apne chehra-e-ghum-gashta kaIk sada aati rahi aaina-e-asrar seMand padte ja rahe the khwab-tasveeron ke rangRaat utarti ja rahi thi dard kee deewar seMain bhi 'akbar' karb-aagin jaanta hun zeest koMunsalik hai fikr meri fikr-e-shopnah aahur se
Is Ada Se Wo Wafaa Karte HainIs ada se wo wafaa karte hainKoi jaane ki wafa karte hainHumko chodoge to pachtaogeHansne walon se hansa karte hainYe batata nahi koi mujhkoDil jo aa jaye to kya karte hainHusn ka haq nahi rehta bakiHar ada mein wo ada karte hainKis kadar hain teri aankhein bebaakIn se fitne bhi hya karte hainIs liye dil ko laga rakha haiIs mein dil ko laga rakha hai'daag' tu dekh to kya hota haiJabr par jabr kiya karte hain
Guzre Hue TaveelGuzre hue taveeGuzre hue taveel zamane ke baad bhiDil mein raha woh chhod ke jaane ke baad bhiPehlu mein reh ke dil ne diya hai bahut farebRakha hai us ko yaad bhulaane ke baad bhiQurbat ke baad or bhi qurbat ki talaashDil mutmain nahin hai tere aane ke baad bhiJo tu yahan nahin hai magar tu yahin pe haiTera hi zikar hai tere jaane ke baad bhiLagta hai kuch kaha hi nahi hai usey farazDil ka tamaam haal sunane ke baad bhi