Pareshaan thi pappu ki wife
non-happening thi jo uski life
pappu ko na milta tha aaram
office main karta kaam hi kaam
pappu ke boss bhi the bade cool
promotion ko har baar jate the bhul
par bhulte nahi the wo deadline
kaam to karwate the roz till nine
pappu bhi banna chata tha best
isliye to wo nahi karta tha rest
din raat karta wo boss ki gulami
appraisal ke ummid main deta salami
din guzre aur guzre fir saal
bura hota gaya pappu ka haal
pappu ko ab kuch yaad na rehta tha
galti se biwi ko behenji kehta tha
aakhir ek din pappu ko samjh aaya
aur **** di usne appraisal ki moh maya
boss se bola, “tum kyon satate ho ?”
“appraisal ke laddu se buddu banate ho”
“promotion do warna chala jaunga”
“appraisal dene par bhi wapis na aunga”
boss haans ke bola “nahi koi baat”
“abhi aur bhi pappus hai mere paas”
“yeh duniya pappuon se bhari hai”
“sabko bas aage badhne ki padi hai”
“tum na karoge to kisi aur se karaunga”
“tumhari tarah ek aur pappu banaunga”