Ek tooti prem kahani
fark sirf itna sa hai
.
uski barat gai,
iski mayat uthi.
*
phool us par bhi the,
phool ispar bhi the.
*
mehfil waha bhi thi,
log yaha bhi the.
*
wo doli pe thi,
ye janaze pe thi.
*
unka hasna waha,
inka rona yaha.
*
saheliya uski bhi thi,
dost iske bhi the.
*
qazi udhar bhi the,
molvi idhar bhi the.
*
wo saj ke gai,
ise sajaya gaya.
*
wo uth ke gai,
ise uthaya gaya.
*
*fark sirf itna tha*
*
use apnaya gaya,
or
ise dafnaya gaya.