Apno ko apno kay jazbaaton say kheltay dekha hay,
jhoot suun suun kay sach ka katl hotay dekha hay,
nahi farq padta unhein kay kya guzeregi kisi pay,
unhe to bas humnay armano ko kuchaltay dekha hay,
lamha lamha dur honay ka dard satata rehta hay,
uss doori ka ham nay faida unhein uthatay dekha hay,
kar kay sitam phir khaatay hain
apno ki jhooti kasam ,
unn kasmo ko ham nay hamesha tut-tay
huay dekha hay ,
farebi nahi hain ham phir bhi
kehlatay hain farebi ,
farebi kahay hamein uss ko ham nay
hastay huay dekha hay,
sambhali apni her khushi
uss sachi ibadat kay liyay ,
khushian bant-tay ham nay unhein
gairo kay saath dekha hay,
seher tuo lay jay gi apne
sab dard khud mein samait kay,
lekin iss dard mein
ham nay bohton ko jaltay dekha hay.