Aaj Jo Tanha Hai Woh Pardes Mein Zaroor Mujh Ko Us Ney Socha Ho Ga Khuvabon Aur

SHARE

Aaj jo tanha hai woh pardes mein zaroor mujh ko us ney socha ho ga khuvabon aur khyaalon mein mera hi chehra tarasha ho ga raah chaltey jo us ko mera khyaal aaya ho ga aik nazar ruk ke asmaan pe chand ko dekha ho ga jab saath they to roz hi larti thi mujh sey ab din mein so baar khud peh bigarti ho gi mail box kholtey hi naam mera dhondti ho gi aur na pa ke mujhey aap hi aap mujh sey roth ti ho gi zaror masrof hon buhat ya koi test hai mera tawelein ghurr ke khud hi behal ti ho gi tanha sard raat mein yuon hi sarak peh tehaltey huvey khyaalon hi khyaalon mein haath us ney mera thama ho ga phir kisi pool ke nechey ruk kar aankhon mein mere us ney jhaanka ho ga.

SHARE