mobile ki wajah se sara zamana gadbada raha hain

SHARE

Mobile ki wajah se sara zamana gadbada raha hain, kabi lagta hai insaan akele me badbada raha hai. . maana ki isse jeevan aasan ho gaya hain, magar isi se jeevan me ghamasan ho gaya hai... pal do pal ke liye bhi shaanti nahi hain, mandir me bhi mobile ki ringtone maanti ni hai.... television ki tarah jeevan me bhi breaks aa gaye hain, mobile k karan rishton me cracks aa gaye hain... sim sim khulja jaise shop khul rahi hain, koi bhi sim ho aasani se mil rahi hain.... naye number badalna bada aasan hain, magar numbero k jaal me aam admi pareshan hain.... double double numbero se customer confuse ho rha hain, kahi sim ka to kahi no. ka misuse ho rha hain'... raato ki neend aur din ka chain khota hain, sifarish se charge aur rishwat se recharge hota hain.... hota kahi batata kanhi hai, aj ka admi kya dual mode pe nahi hain..? waqt bewaqt khana kha raha hain, mobile ki wajah se saaraa zamana gadbada raha hain.

SHARE