Qurbaton Men Bhii JudaaiiQurbaton men bhii judaaiQurbaton men bhii judaaii ke zamaane maangeDil vo be-mehar ki rone ke bahaane maangeHam na hote to kisii aur ke charche hoteKhilqat-e-shahar to kahne ko fasaane maaangeYahii dil thaa ki tarastaa thaa maraasim ke liyeAb yahii tark-e-taalluq ke bahaane maangeApnaa ye haal ki jii haar chuke, lut bhii chukeAur mohabbat vahii andaaz puraane maangeZindagi ham tere daaghon se rahe sharmindaAur too hai ki sadaa aaina-khaane maangeDil kisii haal pe qaanay hi nahiin jaan-e-faraazMil gaye tum bhii to kyaa aur na jaane maangeTranslationQurbat = closenesKhiqat = people, inhabitantMaraasim = relation
Aik Qatra Malaal BhiAik qatra malaal bhAik qatra malaal bhi boya nahin gayaWoh khauf tha ke logon se roya nahin gayaYeh sach hai ke teri bhi neendein ujadd gayinTujh se bichad ke hum se bhi soya nahin gayaUs raat tu bhi pehle sa apna nahin lagaUs raat khul ke mujhse bhi roya nahin gayaDaman hai khushk, ankh bhi chup chaap hai bohatLaddiiyon mein aansuyon ko piroya nahin gayaAlfaaz talkh, baat ka andaaz sard haiPichlaa malaal aaj bhi goya nahin gayaAb bhi kahin kahin pe hai kalakh lagi huyiRanjish ka daagh theek se dhoya nahin gaya
Ek Katra Malal BhiEk katra malal bhEk katra malal bhi boya nahi geyaWoh khauf ki logon se roya nahi geyaYeh sach hai ki teri bhi neendein ujad gayiTujh se bichhad ke hum se bhi soya nahi gayaUss raat tu bhi pehle sa apna nahi lagaUss raat khul ke mujhse bhi roya nahi geyaDaman hai khushk aankh bhi chupchap hai bahutLadiyon mein aansuon ko piroya nahi geyaAlfaz talkh, baat ka andaaz sard haiPichla malal aaj bhi goya nahi geyaAb bhi kahin kahin pe kalikh lagi huiRanjish ka daag theek se dhoya nahi geya
Janazaa Rok Kar Mera Wo Is Andaaz Se BoleyJanazaa rok kar mera wo is andaaz se boleyGali humne kahi thi tum to duniya hi chorey jaatey ho
Ghar Ka Darwaza Is Andaaz Se Khola UsneGhar ka darwaza is andaaz se khola usneKe jaise main nahi koi aur tha aane wala
Aa Gaya Hai Farak Uss Ki Nazaron Mein YakeenanAa gaya hai farak uss ki nazaron mein yakeenanAab woh mujhe andaaz se nahi, andaaze se pehchante hai