Gham Raha Jab Tak Ki Dum Mein Dum RahaGham raha jab tak ki dum mein dum rahaDil ke jaane ka nihayat gham rahaHusn tha tera bahut alam-farebKhat ke aane par bhi ik aalam raha
Kisi Ke Tum Ho Kisi Ka Khuda Hai Duniya MeinKisi ke tum ho kisi ka khuda hai duniya meinMere naseeb mein tum bhi nahi khuda bhi nahi
Lagta Nahi Hai Dil Mera Ujde Dayar MeinLagta nahi hai dil mera ujde dayar meinKis ki bani hai alam-e-na-paedar meinIn hasraton se keh do kahin aur ja basenItni jagah kahan hai dil-e-dagh-dar mein
Main Uski Aas Mein Yun Baitha Hun JaiseMain uski aas mein yun baitha hun jaiseKisi la-ilaaz ko intezar ho maut ka
Tamam Raat Nahaya Tha Shehar Baarish MeinTamam raat nahaya tha shehar baarish meinWo rang utar hi gaye jo utarne wale the
Zaroori Toh Nahi Jeene Ke Liye Sahara HoZaroori toh nahi jeene ke liye sahara hoZaroori toh nahi hum jinke hain woh humara hoKuch kashtiyan doob bhi jaya karti hainZaroori toh nahi har kashti ka kinara ho