Tum kya lagaoge meri mohabbat ka andaaza.... "meri chahto ka samandar to teri soch se bhi gehra hai....!!
Bulandi ki udaan par ho to... zaraa sabr rakho.... parinde bhi batate hai ki.... "aasman par thikaane nahi hote....!!
Chadhti thi us majaar par chaadre beshumaar.... "lekin baahar baitha koi faqeer sardi se mar gayaa....!!
Itna bhi gumaan na kar apni jeet par "ae bekhabar".... shahar me tere jeet se jyada charche to meri haar ke hai....!!
Seekh raha hu ab me bhi insaano ko padhne ka hunar.... suna hai chehro par kitaabo se jyada likha hota hai....!!
Hum aaj bhi shatranj ka khel akele hi khelte hai.... kyu ki "dosto" ke khilaaf chaal chalna aaj bhi nahi aata....!!
Teri jheel si aankho me fir se kho jaane ka dil krta hai.... "par fir se mera dil toote ye gunaah mujhse nahi hoga yaara....!!
Apni life turap ke ikke ki tarah honi chahiye.... jis par begum ke aane ya jane se koi farq nhi padtaa....!!
Khush mazaji b mashor thi humari, sadgi b kamal thi hum sararti b intaha k they ab ghamzada b bemasal hain...
"insaan, ghar badalata hai .... libaas badalata hai ..... rishte badalata hai ... dost badalata hai .... phir bhi pareshaan kyon rehta hai .... kyon ki wo khud ko nahi badalata " .... isiliye to mirza galib ne kaha tha:" "umra bhar ghalib yahi bhool karta raha, dhool chehre pe thi, aur aina saaf karta raha"...