4 rakaat nafl namaz es tarah parhain k har rakaat main 50 martaba qul sharif parhain tu 1) jannat main uper walay groh main 1000 mahal noor k milein gay 2)100 baras k gunah bakhsh diye jaaty hain (50 baras k pichle saal k aur 50 baras k aenda saal k)
Ae momino ya hussain ka kasrat se vird karo 7 9 10 muharram-ul-haram ko karbala ki yad mai ro ya hussain… ya hussain…
Pani ki talab ho to 1 kaam kia kar. karbala k naam pe 1 jam piya kar. ki mujko “hussain ibn-e-ali” ne yeh naseehat. zalim ho muqabil to mera naam liya kar.
Bayt ya sir yehi tha taqaza yazeed ka mayus to hussain ne usko bhi na kya bayt na ki hussain ne , sir de dya use is sar se to yazeed bhi khali nahi gaya
‘kon usay dafan karayjiska na bhai na pisar kya kafan dy wo behan chin gae jiski chadar kon dy ghusal usay qaid ho jiska sab ghar haye wo jalti hui rait wo laasha e by sar sab luteray thay wo saffak e zaman kiya detay paira’han laash ka loota to kafan kiya detay’
As’hab to sabhi the magar waqt e intiqal manga tha jab nabi ne qalam,kyun nahi dya? bolay ye intiqam tha khyber ki jang ka us waqt nabi ne hamko alam kyun nahi dya ?
Zikre shabbir ko fatwaon se dabanay waly, kitny nadaan hain sooraj ko chupany waly, ghaib se aati hai sadaye mehdi, zikry shabbir ko hum hain bachany waly.
Kya haq ada karega zamana husain ka, ab tak zameen pe karz hai sajda husain ka, jholi failaa kar manglo mumino, har dua kabul karega dai husain ka
Jisko arbab-é-nazar haq ka wali kehty han §ar-ßa-§ar waqif-é-israr-jali kehty hain jisko doba hua §uraj ß palat kar dekhy hm usy apny aqeedy me ali kahty han
~ kon kehta hai, k pani ko tarste the “hussain”,? ~ un k honton ko, tarsta raha pyasa pani… ~ selaab dekhta hon, tu aata hai yeh ‘khyal’, k pani bhatak raha hai, “talash_e_huseen” men.
Lafzon mai kiya likhun “shahadat-e-hussain” mohsin… qalam bhi mera ro daita hay “karbala” ka manzer soch kar.
Phir aaj haq ke liye jaan fida kare koi, wafa bhi jhoom uthe youn wafa kare koi, namaz 1400 saalon se intezar mein hai, “hussain” ki tarah mujh ko ada kare koi